Wednesday, September 17, 2008

Pathik


path raah hai, marg hai, lakshya ki prapti ke liye ek safar,
jo iss path par hua agrasar, vahi hai pathik-ek raahgujar.
ek musaafir hai woh, aashiyaana hai uskaa hawaaon ke paron par,
path par hai ladkhadaata magar apne lakshya par hai kendrit uski nazar.

pathik ek naavik hai, uski naiyya hai vichaardhaara,
pag-pag par avrodhakon ke sailaabon ki mandarati us par bhavya chaaya.
kabhi woh nirdeshit path par chalta hai, to kabhi apne raaston ka hai swanirmaata,
kabhi woh raahon ko swayam modta hai, to kabhi bani raahon par hai khud muudna.

Jeevan kya hai???
Jeevan ek path aur hum sab hai pathik,
iss par mod hai anginat aur aseem,
kuch chalte hai path par apni zindagi paane ke liye,
to kuch apne astitva ki hi avashyakta dhundhne nikle.
apne path ke swanirmata ne chui safalta ki paraakashthaa,
aur jo path se bhatke, unhone bana diya bure bhagya ka bahaana.

avarodhakon ka saamna hi pathik ke charitra ka parichaayak hai,
uska path hi uska strot aur prernadaayak hai.
Kabhi hona hai path ka shilpkaar to kabhi hona hai pathaanuyaayi,
jo pathik rahaa atal, avichal ; safaltaa uske kadam chumti aayi, safalta us hi ke kadam chumti aayi...

रचना : प्रणय

2 comments:

usha kher said...

प्रेरणा से पूर्ण कविता।।।।।जीने का मार्ग सरल कर देती है

usha kher said...

प्रेरणा से पूर्ण कविता।।।।।जीने का मार्ग सरल कर देती है