Saturday, September 27, 2008

अनुव्रत गीत

This is one of my favourite prayers. In Kendriya Vidyalaya, this prayer was sung once a week. I really love the lines of this one. They are simple and yet thought provoking. Thanks to Nivedita for sending across this prayer to me, when I was desparately in search of it.

Here it goes...
naitikta ki sur sarita mein jan jan man paavan ho
sayyam mai jeevan ho.. ooo...sayyam mai jeevan ho!

apne se apna anushaasan anuvrat ki paribhaasha,
varna jaati ya sampradaya se mukt dharm ki bhaasha.
chhote chhote sankalpon se maanas parivartan ho,
sayyam mai jeevan ho.. ooo...sayyam mai jeevan ho!

maitri bhaav humara sabse pratidin badhta jaaye,
samta sah astitve samanvaya neeti safalta paaye.
shudhh saadhya ke liye niyojit maatra shudhh saadhan ho,
sayyam mai jeevan ho.. ooo...sayyam mai jeevan ho!

vidhyarthi ya shikshak ho, mazdoor aur vyapaari,
nar ho nari bane neetimayi jeevan charya saari.
kathni karni ki samaanta mein gatisheel charan ho,
sayyam mai jeevan ho.. ooo...sayyam mai jeevan ho!

Wednesday, September 17, 2008

A masterpiece

I really love these lines from Harivansh Rai Bachchan's poem "Himmat Karne Waalon Ki Haar Nahi Hoti"
The indomitable spirit portrayed in these lines is very inspiring.

Asafaltaa ek chuunauti hain, sweekaar karo
Kyaa kami reh gayi dekho aur sudhaar karo.
Jab tak naa safal ho, neend-chain ko tyaago tum,
sangharshon kaa maidaan chchod na bhaago tum.
kuch kiye binaa hi jay-jaykaar nahi hoti,
himmat karne waalon ki haar nahi hoti.

रचना : हरीवंश राय "बच्चन"

Pathik


path raah hai, marg hai, lakshya ki prapti ke liye ek safar,
jo iss path par hua agrasar, vahi hai pathik-ek raahgujar.
ek musaafir hai woh, aashiyaana hai uskaa hawaaon ke paron par,
path par hai ladkhadaata magar apne lakshya par hai kendrit uski nazar.

pathik ek naavik hai, uski naiyya hai vichaardhaara,
pag-pag par avrodhakon ke sailaabon ki mandarati us par bhavya chaaya.
kabhi woh nirdeshit path par chalta hai, to kabhi apne raaston ka hai swanirmaata,
kabhi woh raahon ko swayam modta hai, to kabhi bani raahon par hai khud muudna.

Jeevan kya hai???
Jeevan ek path aur hum sab hai pathik,
iss par mod hai anginat aur aseem,
kuch chalte hai path par apni zindagi paane ke liye,
to kuch apne astitva ki hi avashyakta dhundhne nikle.
apne path ke swanirmata ne chui safalta ki paraakashthaa,
aur jo path se bhatke, unhone bana diya bure bhagya ka bahaana.

avarodhakon ka saamna hi pathik ke charitra ka parichaayak hai,
uska path hi uska strot aur prernadaayak hai.
Kabhi hona hai path ka shilpkaar to kabhi hona hai pathaanuyaayi,
jo pathik rahaa atal, avichal ; safaltaa uske kadam chumti aayi, safalta us hi ke kadam chumti aayi...

रचना : प्रणय